MOM…

(Photo courtesy : Google)

Is duniya me na koi jawaab mere Mom ka,

Ladai aise kare jaise sipahi koi kaum ka,

Mere gile aansu bhi sukhati meri Maa,

Kabhi meri galti pe na dil dukhati meri Maa,

Meri Maa, Meri Maa,

Badi pyaari Meri Maa,

Rahemat wali Meri Maa,

Meri duniyadaari Meri Maa…

.

.

Mere Maa k aanchal me kuch aisi chupi baat hai,

Khudke saare dukh chupae wo muskurati puri raat hai,

Na khuda Na koi Khaas hai,

Fir bhi Jannat usi ke paas hai,

Zindagi me haar bhi jau to wo karti mujhpe Naaz hai,

Meri Maa, Meri Maa,

Himmat wali Meri Maa,

Shaktishaali Meri Maa,

Khubsurat Naari Meri Maa….

.

.

Khud bhuka rahekar wo bharti mera peth hai,

Uska dil bhi itna mulayam jaise registaan ki beechi ret hai,

Dehta tu hai ky sirf gussa, andar ka pyaar bhi uska dekhle,

Zubaan pe jo le aae do gaali, par iraada uska nek hai,

.

Bachpan me raato ko jo tha tune usko jagaya,

Dekh tera dukh zindagi ka, Uska bhi dil tha bhar aaya,

Aankho me bharke paani, kadmo me uske girr jaa,

Barso ki tadap mitaa de, uski mamta me ab tu miljaa.

Meri Maa, Meri Maa,

Sabse bholi Meri Maa,

Rango ki holi Meri Maa,

Neendo ki lori Meri Maa…..

.

.

.

.

HAPPY MOTHER’S DAY!!!!

©️ Danish Sheikh

3 thoughts on “MOM…”

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s