Shikaayatien

(Photo courtesy : Google)

Tere khwaisho k lambe pul pe
Meri umeedo ka darta saath tha
Teri khamoshi ki nanhi bhool me
Meri majboori ka ganda haath tha

Jo ki tadpaya tujhko maine har ek dinme
Umeed dilai kuch chillar ko ginke
Gareebi jaise bikti tanhaai meri
Ujaale me dikhti parchai bani

Jo khushi paane se teri ghabrata Mai
Kimat uski chukaane katrata tha Mai
Bas kismat hi thi jo rukhati thi
Tere Khubsurati k lamhe dikhati thi

Chune ka tujhko bhi mera khwaab tha
Par Tu jannati, aur mai pura napaak tha.
khusbu me teri bhi tha kuch aisa kamal
jaise baag me ho koi phul gulaab ka

Teri nadaani ko maine aise paala
Jaise aankho me basaa chamakta taraa
Teri jeet ko dilaane Mai khudse haara
Ek jhalak ko paane Mai tadpu bechara

Zulfo k khushbu me jazbaat nahi badalta
Un aankho me basi har aayat ko padhta
Teri yaado me to mujhse hosh nahi sambhalta,
Aur Tu kaheti hai Mai tujhse pyaar nahi karta.

Deedaar ko tere jo tarsa Hu mai
Bin mausam k bhi kitna barsa Hu mai
Rote rote kiya aisaa haal hai
Umar lage puri 32 saal hai

Tujhko paane k khatir ab jagne lage hum
Tadapte se aashiq bhi banne lage hum
Jeene marne k waade bhi karne lage hum
Anjaan teri aankho ko ab takhne lage hum

Tere laayak nahi qubool karta Hu mai
Yakin nahi par tujhpe hi marta Hu mai
Tujhko khone k khayaal se darta hu mai
Dekh dusre ki baaho me jalta hu mai

Jeene marne ki kasme bhramm lagne lage hai
Ubharte khwaab bhi ab dhalne lage hai
Haqiqat ko taraazu me tolne lage hai
Tere mukh se bhi rukh ab modne lage hai

Abto dil ki duniya me bhi raaj nahi chalta
Tujhse roothu to kisise mulaaqat nahi karta
Teri nadaani pe bhi aitraaz nahi karta
Aur Tu kaheti hai Mai tujhse pyaar nahi karta.

Teri barbaadi ki Mai Dua nahi karta
Kisiki ho Jae ye bhi parwah nahi karta
Nafrat k is najaayaz rishte me
Badnaami karne ka mai Gunah nahi karta

Beshakh to nahi, shayad ho gaya hai mujhe
Pahelwaan dil bhi ghayal ho gaya hai tujhpe
Aankho me basaane tujhko jo marta tha
Aaj nazar milaane darta hai tujhse

Zara samjho na jano Na
Mujhko pahechaano Na
Aashiq tumhara Mai koi aafat nahi hu
Sabkuch thik hai ab tak sharafat me hi Hu
Dil kaheta hai ki Mai hifaazat me hi Hu..

Apnalo ab mujhko tum dil k bazaar me
Mehfil hai sajai tumhare hi pyaar me
Ab raate bhi mujhko tarsaati hai.
Kabhi mohabbat bhi dekho tum mere izhar me.

Jeete jeete bhi zinda har baar Hu Mai marta,
Ky hora hai haal mujhko pata nahi chalta,
Ab to duniya bhi jaan chuki hai ye,
Par tu kaheti hai mai pyaar nahi karta…..

© Danish Sheikh

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s