Galti

(Photo courtesy : Google)

Nafrat Ki is duniya me tune mujhko yun samjha,

Dekha tune bhi laakho pyaaro me ek galti ka lamha,

Khushi Tere chehre par base yahi karta tha dua,

Galti karne ka jo ye gunah mujhse anjaane me Hua.

.

.

Anjaane me kuch mujhse galat aisa ho gaya

Pyaar jo tha mereliye tere seene me najaane kho gaya,

Ky un kasmo se un waado se tune rishta tod Diya

Jis raah me thi basi manzil meri uska rukh hi mod liya.

.

.

.

Is naadaani me hui galti ka ahesaas hai mujhe,

Is galti ka tahe dil se ahesaas hai mujhe,

Naraaz Na rahena Tu mujhse ye darkhwaast hai tujhse…

.

.

.

Maayus maafi bhi Har galti par Kimat kho chuki hai,

Sunne ko bhi Har ek khafaa bas taklif ho rahi hai,

Tere gusse ka Har ek karz Mai karduga adaa,

Khatm kardunga in saanso ko agar marnaa ho sazaa.

.

.

Tere gusse par mujhko kabhi Na tha koi ekraar,

Teri galti par mujhko kabhi Na tha Koi sawaal,

Jo bhi bandisht hai un sabko abhi Mai karlunga qubool,

Naraazgi Ki in dooriyo se rihaa karde mujhko Tu…

.

.

.

Is maafi me kahe Har lafz ka alfaaz Tu sunle,

Kitna pyaar tujhse Mai karta Hu Ky andaaz hai tujhe,

Naraaz Na rahena Tu mujhse ye darkhwaast hai tujhse.

©️ Danish Sheikh

One thought on “Galti”

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s