Palkho se teri Mai jhukne laga, har pal me kabhi Mai rukhne laga; ek deedar jo Na ho tera, ye hasta khelta dil bhi dukhne laga.
Aankho me teri khushiya ho sadaa, shikaayato me bhi ho ye adaa; rooh chaahe jism ko chode, bas rab Na kare dil tumse juda.
Ye waqt kabhi mere saath Na tha, bure waqt me tere mera haat Na tha; umeed tod chuka kabki maine, par haarne ka koi jazbaat Na tha.
Bas aag ka samandar hai zindagi, Is samandar me dil Ki raakh doobi; us raakh k andar najaane, jalte bundo me pyaar Ki aas jagi…
©️ Danish Sheikh